Monday, July 20, 2009

HUM AAPKE HAIN KAUN










Aaj Hamaare Dil Mein...
Aaj Hamaare Dil Mein Ajab Yeh Uljhan Hai
Gaane Baithe Gaana, Saamne Samdhan Hai
Hum Kuchh Aaj Sunayen, Yeh Unka Bhi Man Hai
Gaane Baithe Gaana, Saamne Samdhan Hai...
Kaano Ki Baaliyan, Chand Sooraj Lage
Yeh Banaras Ki, Sari Khoob Saje
Raaz Ki Baat Batayen, Samdhiji Ghayal Hain
Aaj Bhi Jab Samdhan Ki, Khanakti Payal Hai...
Hothon Ki Yeh Hansi, Aankhon Ki Yeh Haya
Itni Masoom To, Hoti Hai Bas Dua
Raaz Ki Baat Batayen, Samdhi Khush Kismat Hain
Laxmi Hai Samdhanji, Jinse Ghar Jannat Hai...
Aaj Hamare Dil Mein Ajab Yeh Uljhan Hai
Saamne Samdhiji, Ga Rahi Samdhan Hai
Humko Jo Hai Nibhana, Woh Nazuk Bandhan Hai
Saamne Samdhiji, Ga Rahi Samdhan Hai...
Meri Chhaya Hai Jo, Aapke Ghar Chali
Sapna Ban Ke Meri, Palkon Mein Hai Pali
Raaz Ki Baat Batayen, Yeh Poonji Jeevan Ki
Shobha Aaj Se Hai Yeh, Aapke Aangan Ki...


Babul Jo Tumne Sikhaaya...
Babul Jo Tumne Sikhaaya
Jo Tum Se Paaya
Sajan Ghar Le Chali
Sajan Ghar Le Chali
Sajan Ghar Main Chali
Yaadon Ke Lekar Saaye
Chali Ghar Paraaye
Tumhari Laadli..!
Kaise Bhool Paaongi Main Baba
Suni Jo Tumse Kahaaniyan
Chhod Chali Aangan Mein Maiya
Bachpan Ki Nishaaniyan
Sun Meri Pyari Behna
Sajaye Rehna
Yeh Babul Ki Gali..!
Ban Gaya Pardes Ghar Janam Ka
Mili Hai Duniya Mujhe Nayee
Naam Jo Piya Se Maine Joda
Naye Rishton Se Bandh Gayee
Mere Sasur Ji Pita Hain
Pati Devta Hain
Devar Chhavi Krishna Ki
Sajan Ghar Main Chali
Sajan Ghar Main Chali...


Chocolate - Lime Juice...
Chocolate - Lime Juice - Ice Cream - Toffeeyan
Pehle Jaise Ab Mere Shauk Hain Kahan
Gudiya - Khilone Meri Saheliyan
Ab Mujhe Lagti Hain Sari Paheliyan
Yeh Kaun - Sa Mod Hai Umra Ka..!
Yeh Kaisa Deewanapan Hai Kya Janu - Main Kya Janu
Mushkil Ho Gaya Khud Ko Kaise
Pehchanu Main Pehchanu
Din Katta Hai Kate Na Ratiyan
Kisse Kahun Main Yeh Sari Batiyan
Gudiya - Khilone Meri Saheliyan
Ab Mujhe Lagti Hain Sari Paheliyan
Yeh Kaun - Sa Mod Hai Umra Ka..!
Man Mein Tarange Uthne Lagi Hain Yeh Kaisi, Yeh Kaisi
Ab Jaisi Hoon Pehle Nahin Thi Main - Aisi, Main Aisi
Khilne Lagi Hain Raahon Mein Kaliyan
Ankhiyan Dhoondhe Sapnon Ki Galiyan
Gudiya - Khilone Meri Saheliyan
Ab Mujhe Lagti Hain Sari Paheliyan
Yeh Kaun - Sa Mod Hai Umra Ka..!


Didi Tera Devar Deewana...
Didi Tera Devar Deewana,
Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana,
Dhandha Hai Yeh Uska Puraana,
Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana.
Main Boli Ke Laana Tu Imli Ka Daana,
Magar Woh Chuaare Le Aaya Deewana,
Main Boli Ke Machle Hai Dil Mera Haaye,
Woh Kharbuja Laaya Jo Neembu Mangaaye,
Pagla Hai Koi Usko Bataana,
Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana...
Main Boli Ke Laana Tu Mitti Pahaadi,
Magar Woh Bataashe Le Aaya Anaadi,
Main Boli Thi La Do Mujhe Tu Khataayi,
Woh Baazar Se Le Ke Aaya Mithaai,
Mushkil Hai Yoon Mujhko Phasaana,
Hai Ram, Kudiyon Ko Daale Daana...
Bhabhi Teri Behna Ko Maana,
Hai Ram, Kudiyon Ka Hai Zamaana,
Rabba Mere Mujhko Bachaana,
Hai Ram, Kudiyon Ka Hai Zamaana...
Hukum Aapka Tha Jo Maine Na Maana,
Khatavaar Hoon Main Na Aaya Nibhaana,
Sazaa Jo Bhi Dogi Woh Manzoor Hogi,
Aji Meri Mushkil Tabhi Door Hogi,
Bandaa Hai Yeh Khudse Begaana,
Hai Ram, Kudiyon Ka Hai Zamaana


Hum Aapke Hain Kaun....
Hum Aapke Hain Kaun
Bechain Hai, Meri Nazar
Hai Pyar Ka, Kaisa Asar
Na Chup Raho, Itna Kaho
Hum Aapke, Aapke Hain Kaun
Khud Ko Sanam, Roka Bada
Aakhir Mujhe, Kehna Pada
Khwaabon Mein Tum, Aate Ho Kyon
Hum Aapke, Aapke Hain Kaun
Bechain Hai, Meri Nazar
Hai Pyar Ka, Kaisa Asar
Hain Hosh Gum, Poocho Na Tum
Hum Aapke, Aapke Hain Kaun
Kaise Kahun, Dil Ki Lagi
Chehra Mera, Padh Lo Kabhi
Yeh Sharm Ki, Surkhi Kahe
Hum Aapke, Aapke Hain Kaun



Joote De Do Paise Lelo...
Dulhe Ki Saaliyon O Hare Dupatte Vaaliyon
Joote De Do Paise Lelo
Joote De Do Paise Lelo
Dulhan Ke Devar Tum Dikhalaao Na Yoon Tevar
Paise Dedo Joote Lelo
Paise Dedo Joote Lelo

Ajee Note Gino Ji, Joote Laao
Zid Chhodho Ji, Joote Laao
Fraud Hain Kya Hum, Tum Hi Jaano
Akadu Ho Tum, Jo Bhi Maano
Jo Bhii Maano, Jo Bhii Maano
Ajee Baat Badhegi, Badh Jaane Do
Maang Chadhegi, Chadh Jaane Do
Adho Na Aise, Pehle Joote
Pehle Joote Pehle Joote
Joote Liye Hain Nahin Churaayaa Koi Zevar
Dulhan Ke Devar Tum Dikhlaao Naa Yoon Tevar
Paise Dedo Joote Lelo
Joote Dedo Paise Lelo
Kuchh Thandaa Pi Lo, Mood Nahin Hai
Dahi Bade Lo, Mood Nahin Hai
Kulfi Kha Lo, Bahut Kha Chuke
Paan Khaa Lo, Bahut Kha Chuke
Bahut Kha Chuke Bahut Kha Chuke
Ajee Rasmalaai, Aapke Liye
Itni Mithaai, Aapke Liye
Pehle Joote, Khaaenge Kya
Aapki Marzi, Naaji Taubaa
Naaji Taubaa Naaji Taubaa
Kisi Betuke Shaayar Ki Besuri Qawaaliyon
Dulhe Ki Saaliyon O Hare Dupatte Vaaliyon
Joote Dedo Paise Lelo


Lo Chali Main Apne...
Lo Chali Main Apne Devar Ki Baaraat Le Ke
Lo Chali Main
Na Band Baaja, Na Hi Baaraati, Khushiyon Ki Saugaat Le Ke
Lo Chali Main
Devar Dulha Bana, Sar Pe Sehra Saja
Bhabhi Badhkar Aaj Balaiyan Leti Hai
Prem Ki Kaliyan Khile, Pal Pal Khushiyan Mile
Sachche Man Se Aaj Duayen Deti Hai
Ghode Pe Chadh Ke, Chala Hai Baanka,
Apni Dulhan Se Milne
Lo Chali Main
Waha Waha Ramji, Jodi Kya Banaai
Devar Devraniji, Badhai Ho Badhai
Sab Rasmon Se Badi Hai Jag Mein
Dil Se Dil Ki Sagai
Aai Hai Shubh Ghadi, Aaj Bani Maein Badi
Kal Tak Ghar Ki Bahu Thi Ab Hoon Jethani
Hukum Chalaungi Maein, Aankh Dikhaungi Maein
Sehmi Khadi Rahegi Meri Devrani
Hazaar Sapne, Palkon Mein Apne,
Deewani Maein Saath Le Ke
Lo Chali Main



Maye ni maye mundher...
Maye ni maye mundher pe teri, bol raha hain kaaga
Jogan ho gayi teri dulari, man jogi sang laaga
Maye ni maye mundher pe teri, bol raha hain kaaga
Jogan ho gayi teri dulari, man jogi sang laaga
Chan mahiya chan mahiya mere dol sapaiya
Chand ki tarah camak rahi thi us jogi ki kaya,
Mere dyare aakar usne pyar ka alag jagaaya,
Apne tan par bhasma ramaage
Sari rain woh jaaga
Jogan ho gayi teri dulari, man jogi sang laaga
Sun hiriye nach hiriye, Nagke rang jama,
Sun hiriye nach hiriye, Nagke dhum macha
Mannat maangi thi tune, ek roz main jaayo bihaayi,
Us jogi ke sang meri tu karde ab kudmayi,
In haathon mein laga de mehendi,
Baandh shagun ka dhagaa,
Jogan ho gayi teri dulari, man jogi sang laaga



Pehla Pehla Pyar Hai...
Pehla Pehla Pyar Hai
Pehli Pehli Baar Hai
Jaan Ke Bhi Anjaana
Kaisa Mera Yaar Hai..
Uski Nazar, Palkon Ki Chilman Se Mujhe Dekhti, Uski Nazar
Uski Haya, Apni Hi Chaahat Ka Raaz Kholti, Uski Haya
Chhup Ke Kare Jo Wafa, Aisa Mera Yaar Hai
Pehla Pehla Pyar Hai ...
Wo Hai Nisha, Wo Hi Meri Zindagi Ki Bhor Hai, Wo Hai Nisha
Use Hai Pata, Uske Hi Haathon Mein Meri Dor Hai, Use Hai Pata
Saare Jahan Se Juda, Aisa Mera Pyaar Hai
Pehla Pehla Pyar Hai



Waha Waha Ramji...
Waha Waha Ramji, Jodi Kya Banaai
Bhaiya Aur Bhabhi Ko, Badhaai Ho Badhaai
Sab Rasmon Se Badi Hai Jag Mein
Dil Se Dil Ki Sagaai
Aapki Kripa Se Yeh, Shubh Ghadi Aai
Jiji Aur Jija Ko, Badhaai Ho Badhaai
Sab Rasmon Se Badi Hai Jag Mein
Dil Se Dil Ki Sagaai
Mere Bhaiya Jo, Chup Baithe Hain
Dekho Bhabhi Yeh, Kaise Ainthe Hain
Aise Bade Hi Bhale Hain
Maana Thode Manchale Hain
Par Aap Ke Siva
Kahin Bhi Na Phisle Hain
Dekho Dekho Khud Pe, Jiji Itraai
Bhaiya Aur Bhabhi Ko, Badhaai Ho Badhaai
Sab Rasmon Se Badi Hai Jag Mein
Dil Se Dil Ki Sagaai
Suno Jijaji, Aji Aapke Liye
Meri Jiji Ne, Bade Tap Hain Kiye
Mandiron Mein Kiye Phere
Pooja Saanjh Sawere
Teen Lok Taintees
Devon Ko Yeh Rahi Ghere
Jaisi Maine Maangi Thi, Waisi Bhabhi Paai
Jiji Aur Jija Ko, Badhaai Ho Badhaai
Sab Rasmon Se Badi Hai Jag Mein
Dil Se Dil Ki Sagaai



Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa...
Thandi Thandi Purvaiya Mein
Udti Hai Chunariya, Hey
Dhadke Mora Jiya Rama
Bali Hai Umariya
Dil Pe, Nahin Kaabu,
Kaisa, Yeh Jaadu
Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa
Na Ab Dil Pe Kaabu Hai Mitwa
Naina Jisme Kho Gaye
Deewane Se Ho Gaye
Nazara Woh Harsu Hai Mitwa
Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa...
Shehri Babu Ke Sang
Mem Gori Gori, Hey
Aise Lage Jaise
Chanda Ki Chakori
Phoolon Kaliyon Ki Bahaaren
Chanchal Yeh Hawaon Ki Pukaaren
Humko Yeh Ishaaron Mein Kahen Hum
Thamke Yahan Ghadiyan Guzaaren
Pehle Kabhi To Na Humse
Batiyate The Aise Phulwa
Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa...
Sachchi Sachchi Bolna
Bhed Na Chupaana, Hey
Kaun Dagar Se Aaye
Kaun Disha Hai Jaana
Inko Hum Le Ke Chale Hain
Apne Sang Apni Nagariya
Hai Re Sang Anjaane Ka
Us Par Anjaan Dagariya
Phir Kaise Tum Door Itne
Sang Aa Gayee Mere Goriya
Yeh Mausam Ka Jaadu Hai Mitwa

No comments:

Post a Comment