Saturday, July 18, 2009

Main Hoon Na

Chale jaise hawaayein, sanan sanan....
Chorus:
Dha dhin dha, dha dha dhin dha, ta dha dha, dhin ta, dhin ta
(Aa…)
Vasundhara:
Na na na na na na na na na na na na na…-2
Chorus:
What' s up?
Vasundhara:
Chale jaise hawaayein, sanan sanan
Ude jaise parinde gagan gagan
Jaayein titliyaan jaise chaman chaman
Yunhi ghoomoon main bhi magan magan
Hey hey! Hey hey! Hey hey! wo…
Hey hey! Oho aaha…aa…
Main diwaani dil ki raani, kabse anjaani
Sab kehti hoon woh karti hoon, jo hai thhaani
Chale jaise hawaayein, sanan sanan
Ude jaise parinde gagan gagan
Chorus:
Dhum dhum dhum!
Aa chak dhum, dhum dhum dhum -3
Aa chak dhum dhum!
Chorus:
What' s up?
Say what?
Vasundhara:
Koyi roke koyi aaye, jitna bhi mujhko samjhaaye
Main na sunoongi kabhi
Apni hi dhun mein rehti hoon
Main pagli hoon main ziddi hoon
Kehte hain ye toh sabhi
Koyi…nahin jaana, ke armaan kya hai mera
Chale jaise hawaayein, sanan sanan
Ude jaise parinde gagan gagan
Jaayein titliyaan jaise chaman chaman
Yunhi ghoomoon main bhi magan magan
Hey hey! Hey hey! Hey hey! wo…
Hey hey! Oho aaha…aa…
Main diwaani dil ki raani, kabse anjaani
Sab kehti hoon woh karti hoon, jo hai thhaani
Chale jaise hawaayein, sanan sanan
Ude jaise parinde gagan gagan
Voice:
Aa…
Vasundhara:
Na na na na na na na na na na na na na na na na -2
K.K.:
Aaye haseena ye toh aaye, mujhko dikhaane apni adaayein
Main bhi kuch kam nahin yeah!
Aankhon mein aankhein jo daaloon
Dil main chura loon, hosh chura loon
Koyi ho kitna haseen
Mera..ho gaya woh…jo ik baar mujhse mila
Chale jaise hawaayein, sanan sanan
Ude jaise parinde gagan gagan
Jaayein bhawrein jaise chaman chaman
Yunhi ghoomoon main bhi magan magan
Vasundhara:
Hey hey! Hey hey! Hey hey wo…
Hey hey! Oho aaha…aa…
K.K.:
Main diwaana main anjaana, kabse begaana
Hoon awaara lekin pyaara, sab ne maana
Chale jaise hawaayein, sanan sanan
Vasundhara:
Ude jaise parinde gagan gagan
K.K.:
Jaayein bhawrein jaise chaman chaman
Vasundhara:
Yunhi ghoomoon main bhi magan magan
Both:
Chale jaise hawaayein, sanan sanan
Ude jaise parinde gagan gagan



Gori gori, gori gori, gori gori....
Male:
Everybody get down! This party' s going to town!
Ram baba loola, bam bam boo, there' s only one thing to do
Male:
Baby baby let' s rock!
I said all night long till twelve o' clock yeah!
Anu:
(Gori gori, gori gori, gori gori
Kabhi kabhi, kahin kahin, chori chori) -2
Anu & K.K.:
Chhup chhup ke tum mila karo
Pyaari pyaari baatein waatein kiya karo
Par yun na milna kisise kabhi hamaare siwa
Sunidhi:
Gore gore, gore gore, gore gore
Bhole bhole, naye naye, kore kore
Shreya:
Dekho dekho hum dono meet hai
Suno suno dil ki jo preet hai
Sunidhi & Shreya:
Par sun na paaye inhein na koyi hamaare siwa
Anu & K.K.:
(Gori gori, gori gori, gori gori
Kabhi kabhi, kahin kahin, chori chori) -2
Sunidhi & Shreya:
Gore gore, gore gore, gore gore
Bhole bhole, naye naye, kore kore
Male:
Ram baba loola, bam bam boo
Got a tutti frutti so rooli aa!
Chorus:
Tu ru ru ru tu ru ru ru tu tu tu tu -2
K.K.:
Jo tum ho aa gaye, toh sapne chha gaye
Jo tum ho meherbaan, toh rut hai jawaan
Shreya:
Jo hum hai mil gaye, toh gul hai khil gaye
Jo hum tum hai yahaan, toh mehka sama
Anu:
Bheegi bheegi, dheemi dheemi, hai hawa
Khoyi khoyi, soyi soyi, hai fiza
Sunidhi:
Dheere dheere, hamein yeh kya, ho gaya
Holle holle, hosh hi, kho gaya
Anu & K.K.:
Ab na rahen tumhe yaad koyi bhi hamaare siwa
Gori gori, gori gori, gori gori
Kabhi kabhi, kahin kahin, chori chori
Sunidhi & Shreya:
Gore gore, gore gore, gore gore
Bhole bhole, naye naye, kore kore
Male:
Everybody get down! This party' s going to town!
Let' s rock, let' s shock!
I got to beat together till one o' clock yeah!
Chorus:
Tu ru ru ru tu ru ru ru tu tu tu tu -2
Anu:
Jo hai ye dooriyan, toh hai betaabiyan
Jo paas aao yahaan, toh haazir hain jaan
Sunidhi:
Jo tum betaab ho, toh tum ab ye suno
Jo tum is dil mein ho, toh doori kahaan
K.K.:
Zara zara, jhuki jhuki, si nazar
Abhi abhi, thodi thodi, thi idhar
Shreya:
Meethhi meethhi, baatein kaho, toh kaho
Sunidhi:
Pore pore, lekin abhi, tum raho
Sunidhi & Shreya:
Kuch din kaaton aur zindagi hamaare siwa
Anu & K.K.:
Gori gori, gori gori, gori gori
Kabhi kabhi, kahin kahin, chori chori
Chhup chhup ke tum mila karo
Pyaari pyaari baatein waatein kiya karo
Par yun na milna kisise kabhi hamaare siwa
Sunidhi & Shreya:
Gore gore, gore gore, gore gore
Bhole bhole, naye naye, kore kore
Dekho dekho hum dono meet hai
Suno suno dil ki jo preet hai
Par sun na paaye inhein na koyi hamaare siwa
Anu & K.K.:
Gori gori, gori gori, gori gori
Kabhi kabhi, kahin kahin, chori chori
Sunidhi & Shreya:
Gore gore, gore gore, gore gore
Bhole bhole, naye naye, kore kore



main hoon na....
kiska hai yeh tumko intezaar main hoon na
dekhlo idhar to ek baar main hoon na
khamosh kyu ho jo bhi kehna hai kaho
dil chahe jitna pyar utna maanglo..ho..
tumko milega utna pyar main hoon na
kiska hai yeh tumko intezaar main hoon na
dekhlo idhar to ek baar main hoon na
kabhi jo tum socho ke tum yeh dekho
arre kitna mujhko tumse pyar hai
to chup mat rehna yeh mujhse kehna
arre koi kya aisa bhi yaar hai
dil hi nahi le jaan bhi le jo tumhe(2)
ho.. to main kahoonga sarkaar main hoon na
kiska hai yeh tumko...
kehne ki ho dil me koi baat mujhse kaho
koi pal ho din ho ya ho raat mujhse kaho
koi mushkil koi pareshaani aaye
tumhe lage kuch theek nahi haalaat mujhse kaho
koi ho tamanna ya ho koi aarzoo(2)
ho..rehna kabhi na bekaraar main hoon na
kiska hai yeh tumko intezaar main hoon na
dekhlo idhar to ek baar main hoon na
Khamosh kyu ho jo bhi kehna hai kaho
Dil chahe jitna pyar utna maanglo..ho..
Tumko milega utna pyar main hoon na
Kiska hai yeh tumko intezaar main hoon na
Dekhlo idhar to ek baar main hoon na


Tumhein jo maine dekha...
Abhijeet:
Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon
Aakhir kyun pal yun diwaana main ho gaya
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -2
Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh hoke beqaabu, dil kho gaya
Tumhein jo maine socha, tumhein jo maine maana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Abhijeet:
Itni kyun, tum khubsoorat ho, ke sab ko hairat ho
Duniya mein sach-much hi rehti hai
Pariyon se bhi zyaada pyaari si ladki koyi
Haan itni kyun, bolo haseen tum ho, jo dekhein gum-sum ho
Dekho na main bhi hoon khoya sa
Behka sa mujhpe bhi chhaayi hai diwaangi
Tumhi ko maine puja, tumhi ko chaaha paana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh hoke beqaabu, dil kho gaya
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -2
Jo hosh tha, woh toh gaya
Shreya:
Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon
Tumne jo dekha toh kya jaane kya ho gaya
Jaane kyun, rehti hoon khoyi si, jaagi na soyi si
Ab dil mein armaan hai saanson mein toofaan hai
Aankhon mein khwaabon ki hai chaandni
Aa…jaane kyun, behka sa ye mann hai, mehka sa ye tan hai
Chalti hoon itraake, ithlaake, sharmaake
Balkhaake jaise koyi raagini
Tumhein jo maine samjha, tumhein jo pehchaana
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana
Jo hosh tha, woh toh gaya
Abhijeet:
Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo
Toh ho hoke beqaabu, dil kho gaya
Both:
Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -4


Tumse milke dil ka....
Aftab & Hashim:
Ishq jaise hai ik aandhi, ishq hai ik toofaan
Ishq ke aage bebas hai, duniya mein har ilzaam
Ishq mein sab diwaane hain, ishq mein sab hairaan
Ishq mein sab kuch mushkil hai, ishq mein sab aasaan
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2
Sonu:
Dil toh ik raahi jaana, dil ki tum manzil ho
Dil toh hai ik kashti jaana, jiska tum saahil ho
Dil na phir kuch maange jaana, tum agar haasil ho
Dil toh hai mera tanha jaana, aao toh mehfil ho
Aftab & Hashim:
Ishq se hi saari khushiyaan, ishq hi barbaadi
Ishq hai paabandi lekin, ishq hi azaadi
Ishq ki duniya mein yaaron, khwaab ki aabaadi
Ho gaya woh jisko manzil, ishq ye dikhlaadi
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Chorus:
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum
Sonu:
Tumko puja hai, tumhaari hi ibaadat kee hai
Hamne jab kee hai, toh phir aise mohabbat kee hai -2
Dil mera paagal hai jaana, isko tum behlaado
Dil mein kyun halchal hai jaana, mujhko tum samjhaado
Dil ka jo aanchal hai jaana, isko tum lehraado
Zulf jo baadal hai jaana, mujhpe tum barsaado
Jaana leke jaaya hai, tera ye diwaana
Jaan tujhpe mit jaayega, tera ye parwaana
Jaana mere dil mein kya hai, tumne ye na jaana
Jaana tujhko yaad aayega, mera ye afsaana
Aftab & Hashim:
Dekho pyaare, ye nazaare, ye diwaane, ye parwaane
Ye ishq mein kaise gum
Sonu:
Haay! Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye kamaal kya kahen
Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2



ye fizaayein...
K.K.:
Hey..ye fizaayein…hey..sun lo gaayein
Zindagi hai haseen aur jawaan
Alka:
Har lamha hai meherbaan, har pal hai khushi
Paa hi gaya ye kaarvaan, manzil pyaar ki
K.K.:
Din jo suhaane hain, do dil diwaane hain -2
Alka:
Din jo suhaane hain, do dil diwaane hain
K.K.:
Hey..ye fizaayein…hey..sun lo gaayein
Alka:
Geeton ka mausam hai, khwaabon ka aalam hai
Ab hosh kam kam hai, haan…
K.K.:
Jeewan ki raahon mein, tum ho nigaahon mein
Baahein hain baahon mein haan…
Alka:
Har dil diwaana, hai ab ye jaana
Kyun hai haseen ye sama
K.K.:
Har lamha hai meherbaan, har pal hai khushi
Paa hi gaya ye kaarvaan, manzil pyaar ki
Alka:
Din jo suhaane hain, do dil diwaane hain
K.K.:
Din jo suhaane hain, do dil diwaane hain
Alka:
Din jo suhaane hain, do dil diwaane hain
K.K.:
Hey..ye fizaayein…hey..sun lo gaayein
Chorus:
Hey hey! Hey hey! Hey hey!
Oh…(wo..) ho…(wo..)
Alka:
Sab din sunehre hain, sab nashein gehre hain
Pyaare sab chehre hain haan…
K.K.:
Ab halke halke se, rang hai chhalke se
Aanchal hai dhhalke se haan…
Alka:
Jo dilkashi hai, jo taazgi hai
Kaise karoon main bayaan
K.K.:
Hey..ye fizaayein…hey..sun lo gaayein
Zindagi hai haseen aur jawaan
Alka:
Oh.. har lamha hai meherbaan, har pal hai khushi
Paa hi gaya ye kaarvaan, manzil pyaar ki
Both:
Din jo suhaane hain, do dil diwaane hain -2
K.K.:
Hey..ye fizaayein…hey..sun lo gaayein
Din jo suhaane hain, do dil diwaane hain -2
Alka:
(La la la la la la…la la la la la…)



main hoon na(sad)...
Aa…aa…
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na
Koyi toh ho aisa, jisko apna keh sakoon
Koyi toh ho aisa, jiske dil mein reh sakoon ho…
Koyi toh kehta ek baar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na
Aa…aa…
Jo bandhan toote, jo apne roothhe
Paas aa jaayein phirse dooriyaan
Ye kyun hota hai, ke dil rota hai
Bebas ho jaati hai, ye zabaan
Apne toh saare is kinaare reh gaye -2 ho..
Tanha chala jo us paar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na
Jahaan bhi main jaaun, jahaan bhi main dekhoon
Saare chehre begaane se hain
Kabhi koyi tha, jo mera hi tha
Ye qisse ab afsaane se hain
Kal zindagi ne khel khele the gaye
Kuch log jeete, jeet ke sab le gaye ho..
Hisse mein aaya jiske haar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na

No comments:

Post a Comment